Contents
Green tea ke fayade aur nuksan
Green tea
Yeh ek parkaar ki chai hoti hai, jo camellia sinensis plant ki pattiyo se banayi jati. Iske sevan se kafi laabh hote hai. iski shuruaat chin me hua tha
Yeh cholesterol kam karne ke saath saath sarir ke wajan ko bhi niyantrit karta hai.
hari chai ka yeh flovour taazgi se bharpur hota hai .
Aur iske swaad normal chai se alag hote hai
Iski kuch chiz halki mithas ke liye hoti hai,
Jise pasand ke anusar milk aur sugar ke saath banaya jata hai. aksar log green tea ke bare me jante hai
Lekin iske uchit paryog na karne se unhe iska pura labh nahi mil pata.
Green tea banane ke liye ek pen me apne anusar pani dale aur usa 2-3 mitues ke liye ubalne ke liye chod de,
ab garam pani me pani ke anusar green tea dalkar chod de, ab iska kuch der baad sevan kare.
Ek din me kam se kam 3 cup green tea piye jisse iska pura labh aapkko mil sake.
Saath hi saath green tea aapke baalo aur aapke face ke liye bhi faydemand hai.
Green tea ke benefits /fayde
- Green tea pine se muh se banbu aana band ho jati hai
yeh muh me infection paida hone wale bacteria ko khatam karte hai,
jisse mouth cancer hone ke dar nhi rahte.
Yeh teeth ke pile pan ko bhi dur karte hai. mouth cancer ke liye green tea ek medicine ki tarha kaam karta hai.
- Green tea me antiocidete aur vitamine C bhi hota hai,
jisse rog pratirodhak shamata badti hai aur sharir ko rogo se ladne ki sakti milti hai.
jo log rojana 2 se 3 cup green tea pite hai wo log jaldi bimar nahi hote hai.
- Diabetes (sugar) ke rogi ko green tea ke roz aur jyada se jyada sevan karna
chahiye yeh sugar ke marijo ke sharir me gulucose ki matra ko badhne nahi deta hai.
- Green tea ko ubal kar baalo par lagane se baal sundar mulayam aur silky ho jate hai.
Green tea ko baalo me lagane se baal naturally roop se sunder hote hai. green tea baalo ke liye achchha conditioner hai.
- Cancer jaisi khatarnak disease ke ilaaj ke liye bhi green tea ka use kiya jata hai.
green tea cancer hone wali skill ko rokti hai.
- Jo mahilaye rojana green tea ke sevan karti hai unme breast cancer hone ka khatra 20% tak kam ho jata hai.
- Jab ham jyada tension lete hai to hamare sir me dard hone lagta hai
Aur ham apne aap ko bahut hi jyada thake mehusus karte hai
- jisko kam karne ke liye hum tea ki help leni padti hai,
only tea ke jagha agar hum green tea ka use kare to yeh hamare liye jyada better rahega.
green tea pine se tanav khatam hota hai,
- kyuki iski pattiyo ki khusbu se man sant ho jate hai. sir dard kam karne mein green tea ki pattiya bahut fayademand hai.
- Koi bhi vakati apne motape ko lekar hamesa satark rahta hai.
kai log apne khan pan ki ahmiyat ke kaaran aur buri aadato ke kaarna motape ka shikar ho jate hai.
green tea ke sevan kar ke aap apne motape ki problem se chutakara pa sakte hai.
green tea ke pine se yeh aapki charbi ko 14 se 15 paritisat tak kam karta hai.
- Hamare dimag me swasth raktwahikao ki jarurat hoti hai ek scietific research se pta chala hai ki jo log daily green tea pite hai unke dimag me kriye krne wale chetr me adhik gatividhi hoti hai.
Green tea me maujud bioactive gic ke kaaran nervous system par sakratmak prabhav padta hai apni smeriti ko badha dene aur rog ko dur karne ke liye daily green tea piye.
- Green tea se bones majbut hoti hai. isse foloride hota hai jo bones ke sakti ko banaye rakhta hai. haddiyo ke factor me bhi green tea bahut fayde karti hai
yah haddiyo ke factor ke jakham ko jaldi baadhti hai. yah haddi ka nirman karne wali koshikayo ki garividhiyo me vridhi karti hai. tatha asthi ke ghanitve ko banaye rakhti hai.
- Tea green mei cafin hota hai jo stimulator hota hai, inse sharir me furti ka ehsasa hota hai.
caifin aapko alert aur smart banata hai. halaki caifin limit me hi leni chahiye.
Green tea harms/ nuksan
- Kahte hai na ki ati kisi bhi chij ki buri bhi hoti hai yeh baat green tea par bhi lagu hoti hai.
din me 5 cup se jyada green tea pine par isme maujud cafin aur tainin pet dard, ulti, kabj, sar dard, neend na aana, bechini, dairiya, sine me jalan, chakkar aana, kano me jhanjhanahat aadi ki wajha ban sakte hai, tatha green tea jyada pine se ye nuksan bhi ho sakte hai.
- Green tea me maujud tainin pet dard ya kabj ki wajha badhe sakti hai,
jin logo ke pet me alsar ho ya acidity ki problem jyada ho unhe green tea nahi pini chahiye.
- Green tea jyada pine se khane me maujud iron khaskar non-him iron shrir achi tarha se objorb nahi kar pata non-him iron sharir ke andar,
dairy products ke alava paudho (fal sabjiyo, anaj, nats aadi) me paya jata hai, jo jyada green tea pine se ye hame puri tarha se fayada nhi de pate hai.
- Agar aapko anemia hai to green tea jyasa pine se preshani badh sakti hai
aise me aap green tea ye kisi bhi tea ka sevan na kare, iske sevan se aapko bahut jyada problem ho sakti hai.
- Green tea me caifin jyada hoti hai,aur green tea jyada na le, kyuki caifin jyada matra me lene se sharir me calcium kam jabat ho pata hai
jisse hamare sharir me calcium ki kami ho jati hai. isse astiok pororis ka khatara badh jata hai.
- Preganent ye bachcho ko dudh pilane wali mahilao ke liye din me 2 cup se jyasa green tea nahi pini chahiye, kyuki green tea me caifin hota hai
jo maa ke dudh ke jariye bachche me jata hai, jo bachche ke liye sahi nahi hai .
- Green tea iron ko sahi karti hai, jisse sharir me iron ki kami ho jati hai jisse log animiya ke shikar ho jate hai.
aise logo ko green tea kam pini chahiye. Aur green tea pine me savdhani bratani chahiye.
- Halaki green tea me jyada caifin nahi hota,
lekin phir bhi jyada green tea pine se bechini,bone problem anindura ki samsya, chinta, chidchidapan
- jaise lakshan dekhne ko milte hai jo aage chal kar anek bimariya utapann krte hai.
- Aapko Green tea me cafin wa tainic acid paya jata hai,
jo garbhvastha me nuksandeh hai, isliye garbhvastha ke shuruwati dino me mahilao ko green tea pine se bachna chahiye ,
- Green tea me akeselic acid parchur matra me paya jata hai, jo gurde me pathari banne ke kaaran hai. green tea jyada pine se alarji bhi ho jati hai jaise :-saans lene me taklif, chehre, hoth wa jibh me sujan aadi.
jarur padhe :-