Raksha Bandhan Par Information in hindi
Bharat tyoharo ka desh hai yaha vibhinn prakar ke tyohar manaye jate hai har tyohar apna vishwa mahatv rakhta hai. Raksha bandhan bhai behan ke prem ka partik tyohar hai.
Raksha bandhan ko bhai behan ka pavitr tyohar kaha jata hai jo hindu me parchalit hai iss bharat ke sab hi dhrmo ke log bade utsah aur bhav se manate hai.
रक्षाबंधन क्यों मनाया जाता है:
RAKHI yeh hinduo ke calender ke anusar shravan mah ki purnima ko manaya jata hai. Iss din behane apne bhai ke dahine(Seedhey/Right) haath par rakhi bandhati hai
Aur bhai unki raksha ka sankalp lete hai. Yeh tyohar utasaah ke saath manaya jata hai raksha bandhan bharat me anay samuday ke log bhi manate hai
jaise sikh jain aadi bhi is tyohar ko badi khushi ke saath manate hai rakhi bandhan bhai behan ke pyar ko badhata hai har bhai ka yeh kartavye hai
ki woh apni behan ki raksha kare behan bhi rakhi ke din apne bhai ke achchhe, lambi umar ,safal aur surkshit bhavishay ki kamna karti hai bhai bhi apne behan ki har parsththiti me raksah ka vachan deta hai is tyohar ka jyada tar sambhand bharat ke uttar aur paschimi rajay se hai.
Lekin desh ke sabhi rajyo me is tyohar ko bahut se rajyo aur samuday ke log puri khushi aur bhaav se manate hai. Parmparao ke anusar is din behan ek thali me diya, roli, chaval aur rakhi rakhkar pooja ki thali sajati hai aur pehle bhagwaan ki pooja kar ke bhai ko rakhi bandhati hai bhai bhi behan ko uski surksha ka vachan deta hai aur apni tarak se use koi uphar deta hai !
Rakhsa Bandhan ka Itihaas (History)
Rakha bandhan se bahut si kahaniya judi hai jinme se kuch ham aapko batane ja rahe hai
Devraj indr aur indrani :- raksha bandhan ki yeh sabse parmukh katha hai ek baar ki baat hai jab davatao aur asuro me yudh ho rha tha to yeh yudh bahut din tak chala aur devata harne lage tab we asuro ke bhay se bhaybit hokar dev raj indr ke paas gaye devatao ko bahybit dekhkar indrani ne unke haatho me raksha sutr baandh diya iss devtao ka aanam vishwas bada aur unhone danavo par vijay prapt ki tabhi se rakhi bandhane ki partha suru huyi,
Shree krishan aur dropadi :- ek baar shri krishan ke haatho me se khoon nikalta dekhkar dropadi ne apni sadi ko faad kar unke hatho me baandh diya tab shree krishan ne unhe apni behan maan kar unko raksha ka vachan diya jab dropadi ka chir chir haran hua to unhone dropadi ki raksha kar apne vachan ko pura kiya !
Maharani karanvati :- jab bahadur saah ne chitapur par aankrman kiya toh maharani karanvati unse aakrman karne me aasamarth thi tab unhone humau ko rakhi bheja aur unse raksha ke liye bola tab humau ne unhe apni behan mana kar unki raksha ki aur vijay prapt ki !
Alexander aur puru :- kaha jata hain ki hamesa vijayi rahane wala Alexanderbhartiy raja puru ki prakhrata se bahut vichlit hua aur unse yudh kar liya isse Alexander ki patni kafi tanav me aa gayi Usne raksha bandhan ke bare me suna tha so usne puru ko rakhi bhej di tab puru ne use apni behan mana liya aur yudh samapat ho gaya.
Rakhsa Bandhan Manane ki special vidhi vidhaan(विधि -विधान )
- Sabse Pehle ap apne Bhai ke liye ek duaao se bhari rakhi le lijiye.
- uske baad ap sabse pehle ganesh ji ko bhi rakhi bandh sakti hai , ye apke upar nirbhar karta hai ki ap hanuman ji ko manti ho ya or kisi bhagwan ko to sabse pehle bhagwan ko 2 rakhi bandh do.
- Uske baad apne bhai ko bhi 2 rakhi bandh do (joda he bandhte hai single nahi bandhte)
- ab ap apne rituals (riti riwaj) ke anusaar apne bhai ki pooja , arti or muh meetha karaye.
- Bhai ko kuch na kuch benh ko jarur dena chaiye ye dono (Bhai – Behn) ke liye shubh mana jata hai.
Raksha bandhan par special
Is saal 2017 me raksha bandhan ki date 7 august 2017 ko manay jayenga purinma thithi ka aarambh 6 august 2017 ki ratri se hoga saath hi bhadra vapat rahegi isliye shastar anusar Bhai behan ka festival 7 August 2017 ko sampan kiya jayega. Iske turant baad hamara Independence Day 15 August ayega.
Iske baad pooja ki thali sajayi jati hai thali me rakhi ke saath roli, haldi, nariyaal pani wala, chaval, Deepak, mithayi rakh kar sabse pehle bhgwaan ki pooja kar ke phir bhai ko rakhi bandhe, rakhi bandhne ke baad behane bhojan grahan karti hai. is parva par bhajon humesa dophar ke baad hi kiya jata hai.
Raksha bandhan par khane ke liye kya banaye special dish
Sevaiyyan ek baut acha option hai. Mutter Paneer agar apko ye banana nahi atta to ghabraiye mat humare iss post me apko mutter paneer kaise banaye par apko puri receipe milegi. Agar ap kuch naya try karna chahte hai to ap hamari site ki Food Recipe par click karke bahut kuch banana sikh sakti hai jaise Daal Makhni ghar par kaise banaye, gujrati dish, south indian dishse, Chinese food
Bhai behan ka pyar
Rakhi Aayi Khushiyaan Layi
Behan Aaj Phooli Na Samayi
Rakhi, Roli Aur Mithaayi
In Sab Se Thali Khoob Sajayi
Baandhe Bhai Ki Kalai Pe Dhaga
Bhai Se Leti Hai Yeh Waada
Rakhi Ki Laaj Bhaiya Nibhana
Behna Ko Kabhi Bhool Na Jana
Bhai Deta Behan Ko Wachan
Dukh Uske Sab Kar Lega Haran
Bhai Behan Ko Pyara Hai
Tyohaar Rakhi Ka Nayara Hai
Happy Raksha Bandhan
Ye Lamha Kuch Khaas Hain,
Behan Ke Hathon Mein Bhai Ka Haath H,
O Behna Tere Liye Mere Pass Kuch Khas H,
Tere Sukoon Ki Khatir Meri Behna,
Tera Bhai Humesha Tere Sath Hain…
Kaamyabi tumhare kadam chume,
Khushiyan tumhare charo aur ho,
Par bhagwan se itni prarthana karne k liye
Tum mujhe kuch toh commission do..!
Happy Raksha Bandhan Bhaiya…….
Read also :
- Best 50 Republic day Wishes,Quotes,Greeting In Hindi
- Essay On Republic Day In Hindi
- Best Happy New year 2018
- Top Merry Christmas Quotes,Wishes,Msg,Sharyari,Status & SMS 2017 In Hindi
- Story Of Jesus Christ & Christmas Essay in Hindi
- Childrens Day Speech,Essay,Poem & Quotes In Hindi